Obaidullah Aleem

viran sarae ka diya hai

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
vīrān sarā.e kā diyā hai
jo kaun-o-makāñ meñ jal rahā hai
ye kaisī bichhaḌne kī sazā hai
ā.īne meñ chehra rakh gayā hai
ḳhurshīd misāl shaḳhs kal shaam
miTTī ke supurd kar diyā hai
tum mar ga.e hausla tumhārā
zinda huuñ maiñ ye merā hausla hai
andar bhī is zamīñ ke raushnī ho
miTTī meñ charāġh rakh diyā hai
maiñ kaun sā ḳhvāb dekhtā huuñ
ye kaun se mulk kī fazā hai
vo kaun sā haath hai ki jis ne
mujh aag ko ḳhaak se likhā hai
rakkhā thā ḳhalā meñ paañv maiñ ne
raste meñ sitāra aa gayā hai
shāyad ki ḳhudā meñ aur mujh meñ
ik jast kā aur fāsla hai
gardish meñ haiñ kitnī kā.enāteñ
bachcha mirā paañv chal rahā hai
Top Urdushayar.com