Obaidullah Aleem

kucha-e-ishq se kuchh KHwab uTha kar le aae

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
kūcha-e-ishq se kuchh ḳhvāb uThā kar le aa.e
the gadā tohfa-e-nāyāb uThā kar le aa.e
kaun sī kashtī meñ baiTheñ tire bande maulā
ab jo duniyā koī sailāb uThā kar le aa.e
haa.e vo log ga.e chāñd se milne aur phir
apne hī TuuTe hue ḳhvāb uThā kar le aa.e
aisā ziddī thā mirā ishq na bahlā phir bhī
log sach-much ka.ī mahtāb uThā kar le aa.e
sat.h-e-sāhil na rahī jab koī qīmat in kī
ham ḳhazānoñ ko tah-e-āb uThā kar le aa.e
jab milā husn bhī harjā.ī to us bazm se ham
ishq-e-āvāra ko betāb uThā kar le aa.e
is ko kam-zarfi-e-rindān-e-girāmī kahiye
nashe chhoḌ aa.e mai-e-nāb uThā kar le aa.e
anjuman-sāzi-e-arbāb-e-hunar kyā kahiye
un ko vo aur unheñ ahbāb uThā kar le aa.e
ham vo shā.ir hameñ likhne lage jab log to ham
guftugū ke na.e ādāb uThā kar le aa.e
ḳhvāb meñ lazzat-e-yak-ḳhvāb hai duniyā merī
aur mire falsafī asbāb uThā kar le aa.e
Top Urdushayar.com