maiñ kaise jiyūñ gar ye duniyā har aan na.ī tasvīr na ho
ye aate jaate rañg na hoñ aur lafzoñ kī tanvīr na ho
ai rāh-e-ishq ke raahī sun chal aise safar kī lazzat meñ
tirī āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb to hoñ par ḳhvāboñ kī ta.abīr na ho
ghar aa.uuñ yā bāhar jā.ūñ har ek fazā meñ mere liye
ik jhūTī sachchī chāhat ho rasmoñ kī koī zanjīr na ho
jaise ye mirī apnī sūrat mire sāmne ho aur kahtī ho
mire shā.er tere saath huuñ maiñ māyūs na ho dil-gīr na ho
koī ho to mohabbat aisī ho mujhe dhuup aur saa.e meñ jis ke
kisī jazbe kā āzār na ho kisī ḳhvāhish kī ta.azīr na ho