maiñ jis meñ kho gayā huuñ mirā ḳhvāb hī to hai
yak do nafas numūd sahī zindagī to hai
jaltī hai kitnī der havāoñ meñ mere saath
ik sham.a phir mire liye raushan huī to hai
jis meñ bhī Dhal ga.ī use mahtāb kar ga.ī
mere lahū meñ aisī bhī ik raushnī to hai
parchhā.iyoñ meñ Dūbtā dekhūñ bhī mahr-e-umr
aur phir bachā na pā.ūñ ye bechārgī to hai
tū bū-e-gul hai aur pareshāñ huā huuñ maiñ
donoñ meñ ek rishta-e-āvārgī to hai
ai ḳhvāb ḳhvāb umr-e-gurezāñ kī sā.ato
tum sun sako to baat mirī guftanī to hai