dil hī the ham dukhe hue tum ne dukhā liyā to kyā
tum bhī to be-amāñ hue ham ko satā liyā to kyā
aap ke ghar meñ har taraf manzar-e-māh-o-āftāb
ek charāġh-e-shām agar maiñ ne jalā liyā to kyā
baaġh kā baaġh aap kī dastaras-e-havas meñ hai
ek ġharīb ne agar phuul uThā liyā to kyā
lutf ye hai ki aadmī aam kare bahār ko
mauj-e-havā-e-rañg meñ aap nahā liyā to kyā
ab kahīñ boltā nahīñ ġhaib jo kholtā nahīñ
aisā agar koī ḳhudā tum ne banā liyā to kyā
jo hai ḳhudā kā aadmī us kī hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar haath milā liyā to kyā
aaj kī hai jo karbalā kal pe hai us kā faisla
aaj hī aap ne agar jashn manā liyā to kyā
log dukhe hue tamām rañg bujhe hue tamām
aise meñ ahl-e-shām ne shahr sajā liyā to kyā
paḌhtā nahīñ hai ab koī suntā nahīñ hai ab koī
harf jagā liyā to kyā sher sunā liyā to kyā