jī meñ hai ik din jhuum kar us shoḳh ko sajda karūñ
sajde se phir allāh tak ik rāsta paidā karūñ
bas ho chukā ahl-e-jahāñ ab ye tamāsha kab talak
kyā chashm-e-zāhir se milā kyā dīda-e-dil vā karūñ
haañ haañ vo bāzīgar sahī miTTī kā ik paikar sahī
terī nazar se ham-nashīñ kaise use dekhā karūñ
jaise kahīñ hai kuchh kamī tasvīr bantī hī nahīñ
arz-e-hunar meñ kab talak kilk-e-guhar toḌā karūñ
us se yahī kahtā huuñ vājib ehtirām-e-ishq hai
andar se ye ḳhvāhish hai vo jaisā kahe vaisā karūñ
ye jhilmilātā sā jahāñ gaahe ayaañ gaahe nihāñ
Thahre to kuchh ma.alūm ho dekhūñ to raaz ifshā karūñ