batā.eñ kyā ki kitnā jānte haiñ
tumheñ tum se ziyāda jānte haiñ
ḳhamoshī se ayaañ hotā hai un kī
vo apnī baat kahnā jānte haiñ
bahut paḌh kar huā ye ilm ham ko
ki ham kitnā zarā sā jante haiñ
qalam kāġhaz hamāre sher aur tum
use ham apnī duniyā jānte haiñ
ham aa jaate haiñ aksar apne aage
magar ham bach nikalnā jānte haiñ
pata hai rūThne vaale ko 'āsif'
ki ham rishte nibhānā jānte haiñ