jab jab bhī dekhiye use ḳhūñ-bār sī lage
duniyā hamesha barsar-e-paikār sī lage
har har nafas pe rañg badaltī hai zindagī
ik phuul sī lage hai kabhī ḳhaar sī lage
chehra hai mere dost kā yā koī aa.ina
dekhūñ ulaT-palaT ke to bhī aarsī lage
aadat sī paḌ ga.ī hai use bolne kī tez
vo baat bhī kare hai to takrār sī lage
tum saath ho to ham bhī bayābāñ ko ghar kareñ
ye saḳht dhuup sāya-e-dīvār sī lage
har har qadam pe jaise ki biktā ho aadmī
bastī tamām misr ke bāzār sī lage
'ābid' tamām shahr pe aalam hai kaun sā
har ek shakl naqsh-ba-dīvār sī lage