Aabid Adeeb

main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun

Aabid Adeeb

Udaipur, Rajasthan, India

1937
maiñ apne jism meñ kuchh is tarah se bikhrā huuñ
ki ye bhī kah nahīñ saktā maiñ kaun huuñ kyā huuñ
unheñ ḳhushī hai isī baat se ki zinda huuñ
maiñ un kī daa.eñ hathelī kī ek rekhā huuñ
maiñ pī gayā huuñ ka.ī āñso.oñ ke sail-e-ravāñ
maiñ apne dil ko samundar banā.e baiThā huuñ
vo mere dost jo ek ek karke duur hue
maiñ un ko aaj bhī apne qarīb paatā huuñ
muhīt karne kī koshish fuzūl hai mujh ko
nadī kā chhor nahīñ huuñ maiñ bahtā dariyā huuñ
mujhī pe pheñke hai patthar jo koī aatā hai
ki jaise maiñ tirī khiḌkī kā koī shīsha huuñ
Top Urdushayar.com