Aabid Adeeb

ye mere shahr ka ek aur hadisa hoga

Aabid Adeeb

Udaipur, Rajasthan, India

1937
ye mere shahr kā ik aur hādisa hogā
vo kal yahāñ mirā mehmān ban chukā hogā
talāsh meñ huuñ kisī kī maiñ kab se sargardāñ
usī tarah koī mujh ko bhī DhūñDhtā hogā
mirī tarah se koī chīḳhtā hai rāhoñ meñ
mirī tarah koī duniyā ko dekhtā hogā
lagā ke aa.egā chehra koī nayā shab meñ
vo jis ko baiTh ke din meñ tarāshtā hogā
shanāsā chehre bhī lagne lage haiñ begāne
ab apnā vaqt hī shāyad badal rahā hogā
udaas udaas sā khoyā huā sā rahtā hai
kuchh us se bhī koī kah kar badal gayā hogā
thakā thakā sā usī dar pe aa ke baiThā thā
na pūchhā hogā kisī ne to chal diyā hogā
jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagā.e haiñ sab ke
usī maqām se ab apnā rāsta hogā
Top Urdushayar.com