Varis Kirmani

aaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae

Varis Kirmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-2012
āḳhir vo iztirāb ke din bhī guzar ga.e
jab dil-e-harīf-e-ātish-e-qahr-o-itāb thā
jaañ dostoñ kī chāragarī se laboñ pe thī
sar dushmanoñ kī sañg-zanī se azaab thā
dāman-e-sāgān kū-e-mohabbat se taar taar
chehra ḳharāsh-e-dast-e-junūñ se ḳharāb thā
vaañ e'timād-e-mashq-e-siyāsat kī had na thī
yaañ e'tibār-e-nāla-e-dil be-hisāb thā
har baat sūfiyoñ kī tarah pech-o-ḳham liye
har lafz shā.iroñ kī tarah intiḳhāb thā
har jalva ek daftar āshob-e-rozgār
har ġhamza ilm-e-fitna-garī kī kitāb thā
ḳhvābīda har nazar meñ banā.e fasād-e-ḳhalq
poshīda har ravish meñ nayā inqalāb thā
aaj is ġhazal meñ ham pe qayāmat guzar ga.ī
kyā garmī-e-ḳhayāl thī kyā iltihāb thā
Top Urdushayar.com