gītoñ kā shahr hai ki nagar soz-o-sāz kā
qalb-e-shikasta aur ye aalam gudāz kā
chāroñ taraf sajī haiñ dukāneñ ḳhulūs kī
chamkā hai kārobār har ik hīlā-sāz kā
vo chāhe ḳhvāb ho ki haqīqat magar kabhī
ehsāñ uThā.egā na libās-e-majāz kā
jis tarah chāhā jaa.e hai chāhā nahīñ abhī
andesha jaan khaa.e hai ifshā-e-rāz kā
bahrūpiyā hai koī phire hai nagar nagar
qātil kā ruup dhāre kabhī chārasāz kā
yuuñ hañste hañste dār-e-fanā se chalā hai vo
jaise safar nasīb ho arz-e-hijāz kā
'ābid' ġhamoñ kī dhuup meñ jalnā hai chaar din
bas qissa muḳhtasar hai ye umr-e-darāz kā