Aabid Adeeb

sharik-e-alam-e-kaif-o-surur main bhi tha

Aabid Adeeb

Udaipur, Rajasthan, India

1937
sharīk-e-ālam-e-kaif-o-surūr maiñ bhī thā
ki raat jashn meñ tere huzūr maiñ bhī thā
ajiib vaqt thā duniyā qarīb thī mere
ġhazab ye thā tire dāman se duur maiñ bhī thā
ġhamoñ ke ghere meñ jab raqs kar rahī thī hayāt
tamāsh-bīñ kī tarah be-shu.ūr maiñ bhī thā
na ruknā raah meñ shart-e-safar meñ shāmil thā
thakan se varna bahut chuur chuur maiñ bhī thā
utar rahā thā lahū kis balā kā āñkhoñ meñ
tire ḳhayāl meñ us dam zarūr maiñ bhī thā
guzarte vaqt ne pahre baiThā diye 'ābid'
ḳhatā.eñ un kī na thiiñ be-qusūr maiñ bhī thā
Top Urdushayar.com