hādsoñ se be-ḳhabar the log dhartī par tamām
āsmāñ kī nīlgūñ āñkhoñ meñ the manzar tamām
rafta rafta rasm-e-sañg-bārī jahāñ se uTh ga.ī
dhīre dhīre ho ga.e bastī ke sab patthar tamām
tishna-lab dhartī pe jab bahtā hai pyāsoñ kā lahū
muddatoñ maqtal meñ sar ḳham rahte haiñ ḳhanjar tamām
zindagī bikhrī huī hai is tarah fōtpath par
bastiyāñ ābād haiñ aur log haiñ be-ghar tamām
shāhrāheñ daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iiñ
ghar kī jānib chal paḌā hai shahr ghabrā kar tamām
sub.h ke saare ujāle rāstoñ meñ kho ga.e
shab ke añdhiyāroñ meñ gum haiñ shaam ke manzar tamām
ab kahāñ vo log vo raunaq vo naġhme vo fazā
shahr kī galiyāñ haiñ suunī suune bām-o-dar tamām