safar kā shauq na manzil kī justujū baaqī
musāfiroñ ke badan meñ nahīñ lahū baaqī
tamām raat havāoñ kā gasht jaarī thā
savere tak na rahā koī hū-ba-hū baaqī
sabhī tarah se ta.āruf to ho gayā un kā
rahī hai ab to mulāqāt rū-ba-rū baaqī
jo bhiiḌ bikhre to dekhūñ talab ye kaisī hai
dayār-e-ġhair meñ hai kis kī justujū baaqī
vahī nazāre vahī garmī-e-suḳhan hai magar
na hī vo baat na vo tarz-e-guftugū baaqī
zamāna mujh se judā ho gayā zamāna huā
rahā hai ab to bichhaḌne ko mujh se tū baaqī
usī lihāz kā 'ābid' malāl hai ham ko
rahā na aaj jo daurān-e-guftugū baaqī