Aabid Adeeb

kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin

Aabid Adeeb

Udaipur, Rajasthan, India

1937
kār-nāma ai ġham-e-dil kuchh tirā ye kam nahīñ
bah ga.e āñkhoñ se dariyā aur āñkheñ nam nahīñ
saaf thā har lafz us kī be-badal taqrīr kā
phir lahū ne naqsh jo chhoḌe haiñ vo mub.ham nahīñ
har zamāne meñ nahīñ pahchānñā mushkil unheñ
sar qalam hote raheñge un ke lekin ġham nahīñ
karbalā hī ne kiye haiñ murtasim dil par nuqūsh
varna is duniyā meñ ġham kī vārdāteñ kam nahīñ
dil hī dil vo bhīgī lakḌī kī tarah sulgā kiyā
us ke chehre se to lagtā thā ki koī ġham nahīñ
kaifiyat kaisī ajab is shahr kī yādoñ kī hai
garm hai ātish nahīñ aur sard hai shabnam nahīñ
ik alag tahzīb hai tanhā.iyoñ ke shahr kī
ek hī aalam hamesha aur koī mausam nahīñ
phir rahe haiñ log phir hāthoñ meñ sañg-reze liye
aur apne sar meñ saudā is ghaḌī kuchh kam nahīñ
ham se 'ābid' apne rahbar ko shikāyat ye rahī
aañkh mūñde un ke pīchhe chalne vaale ham nahīñ
Top Urdushayar.com