Varis Kirmani

jamal-e-nastarani rang-o-bu-e-yasmani

Varis Kirmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-2012
jamāl-e-nastaranī rañg-o-bū-e-yāsmanī
guloñ ne siikh liyā tum se zauq-e-pairahanī
zamāna-sāz na ho gar butoñ kī sīm-tanī
to azm-e-but-shikanī bhī hai ain barhamanī
savād-e-koh-o-bayābāñ meñ shām-e-be-vatnī
hameñ lubhā ke kahāñ laa.e āhū-e-ḳhutanī
hazār rañg meñ pinhāñ hai ārzū-e-hayāt
duā-e-nīm-shabī tā junūn-e-koh-kanī
ba-nām-e-daulat-e-husn-o-jamāl be-pāyāñ
samajh ke kījiye ahl-e-talab kī dil-shikanī
majāl-e-āh na thī dil ko bazm-e-jānāñ meñ
ye ehtiyāt bhī thī muqtazā-e-gul-badanī
vo rañj-e-rāh-e-tamannā meñ yād-e-yār-e-azīz
vo duur bajte hue se rabāb-e-anjumanī
Top Urdushayar.com