Anwar Dehlvi

aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
āñkheñ dikhā.īñ ġhair ko merī ḳhatā ke saath
matlab adā vo karte haiñ aur kis adā ke saath
shoḳhī nigah ke saath taġhāful jafā ke saath
ushshāq par hujūm-e-balā hai balā ke saath
āḳhir huā na zabt shab-e-vasl mudda.ī
naala nikal gayā mirī lab se duā ke saath
tere sitam se mujh ko milā mansab-e-kalīm
ik vaj.h-e-guftagū nikal aa.ī ḳhudā ke saath
terā hijāb uThte hī aaya vo nā-gahāñ
dushman ke paaoñ khul ga.e band-e-qabā ke saath
meñ kyā ki dushmanoñ kī bhī qismat ulaT ga.ī
tirchhī adā.eñ aur terī bāñkī adā ke saath
rāh-e-talab meñ shauq kī manzūr hai numūd
miTte qadam qadam pe chale rahnumā ke saath
yārab ġhalat ho fahm-e-kaj-andesh kā gumāñ
kuchh kah rahā hai in se adū iltijā ke saath
dete nahīñ kisī ko pata apne haal kā
begāna ban ke chalte haiñ har āshnā ke saath
mai be-talab milī to huī yaar kī talab
bandoñ ke naaz bhī haiñ nirāle ḳhudā ke saath
josh-e-qalaq meñ dekhiye kyā māñgtā huuñ maiñ
yāroñ ke dam nikalte haiñ merī duā ke saath
ghar se mujhe nikālte rahiye par is tarah
gah mudda.ī ke saath gahe mudda.ā ke saath
kyuuñ shauq meñ girā.iye saath apne shān-e-ishq
aġhmāz bhī zarūr hai kuchh iltijā ke saath
kahtā huuñ ye nasīb na dushman ko ho firāq
aa maiñ vo kahte jaate haiñ merī duā ke saath
lailā kā naam zinda hai ab tak jahāñ meñ
tum bhī nibāh do kisī ahl-e-vafā ke saath
phirte hī us kī aañkh ke vābasta-tar havā
maiñ dil ke saath dil nigah-e-fitna-zā ke saath
ab to baḌā ḳhayāl terī ranjishoñ kā hai
mahshar meñ dekh leñge ḳhudā kī ḳhudā ke saath
kahtā hai Dar ke haath vafā se uThā liyā
dushman kī baat ban ga.ī merī duā ke saath
aatā hai bū-e-dost meñ kāfir basā huā
qāsid bhī ik raqīb hai apnā sabā ke saath
kyā DhūñDhte ho dahr meñ 'anvar' jamāl-e-dost
chande phiro chalo kisī mard-e-ḳhudā ke saath
Top Urdushayar.com