Anwar Dehlvi

nazar aae kya mujhse fani ki surat

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
nazar aa.e kyā mujh se faanī kī sūrat
ki pinhāñ huuñ dard-e-nihānī kī sūrat
banā huuñ vo maiñ nā-tavānī kī sūrat
ġhazab hī khichī be-nishānī kī sūrat
ḳhamoshī jo hai jqtizā-e-tabī.at
to un ko milī be-dahānī kī sūrat
nazar aa.e kyā jalva-e-husn baaqī
ki parda hai duniyā-e-fānī kī sūrat
tum aur zikr-e-aġhyār par chup rahoge
kahe detī hai be-dahānī kī sūrat
hamāre gale par to chaltī dikhāo
kahāñ teġh meñ hai ravānī kī sūrat
qayām apnā us kūcha meñ pā-bigul hai
mile ḳhaak meñ ham to paanī kī sūrat
gudāz-e-dil-e-tishna kā maañ ġhazab hai
vo ḳhanjar na bah jaa.e paanī kī sūrat
barābar hai yahāñ būd-o-nābūd apnī
nishāñ hai mirā be-nishānī kī sūrat
araq-e-sharm se ḳhāksārī meñ huuñ maiñ
huā ḳhaak bhī maiñ to paanī kī sūrat
jo pūchho to us chashm kā dekhnā hai
vo hai gardish āsmānī kī sūrat
Duboyā mujhe aab meñ sharm se vo
khaḌe haiñ mire sar pe paanī kī sūrat
numūd apnī vaaq.e meñ kuchh bhī nahīñ hai
yahāñ ḳhvāb hai zindagānī kī sūrat
vo dil rū-numā.ī meñ lete haiñ pahle
dikhāte haiñ jab jāñ-sitānī kī sūrat
mujhe kushta dekhā to qātil ne pūchhā
yaqīñ hai yahāñ bad-gumānī kī sūrat
paḌe mar ke miTne ko ham Thokaroñ meñ
magar kaT ga.ī zindagānī kī sūrat
zabāñ par hai qāsid kī apnī rasā.ī
huā huuñ payām zabānī kī sūrat
mujassam hī mauhūm aane meñ un ke
nazar aatī hai zindagānī kī sūrat
tire va.ade par ziist hai marg apnī
bahut hī baḌhī nā-tavānī kī sūrat
vo is shakl se merī bālīñ pe aa.e
ki ik aafat āsmānī kī sūrat
nazar ban ke phirtī hai āñkhoñ meñ apnī
kisī ālam-e-naujavānī kī sūrat
na ho rashk to kījiye vahāñ mad.h-e-dushman
ki hai yaar kī rāz-dānī kī sūrat
mujhe dekho aur us ke va.ade pe jiinā
ye hai zinda-e-jāvedānī kī sūrat
vahāñ bad-gumānī kī tārīf kyā ho
yaqīñ ho jahāñ bad-gumānī kī sūrat
nazar-soz vo ruḳh vo inkār behad
magar haiñ vo ik lan-tarānī kī sūrat
dikhāte haiñ vo raḳh se yuuñ naaz pinhāñ
ki alfāz jaise ma.ānī kī sūrat
yahāñ kyā samā.ī dam-e-teġh qātil
ki nazroñ meñ hai saḳht jaanī kī sūrat
jo naqsh-e-fanā hoñ to vo dil pe 'anvar'
khiñchī aur ik bad-gumānī kī sūrat
Top Urdushayar.com