Anwar Dehlvi

ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
ashk betāb va nigah be-bāk va chashm-e-tar ḳharāb
chashm-e-bīnā se agar dekho to ghar kā ghar ḳharāb
girya be-tāsīr o fariyād-e-dil-e-muztarib ḳharāb
kār-e-ishq-o-āshiqī nāqis tamām aksar ḳharāb
ik hamārā naam jo pahuñche na terī bazm tak
ik hamārī ḳhaak hai jo phirtī hai dar dar ḳharāb
hai adab se nutq band ab kyā bayāñ ho mudda.ā
pahle hī yahāñ ho chukā guftār kā daftar ḳharāb
dil ḳharāb aur sab havā-o-hirs-e-dil bekār hai
hai fazā-e-dahr meñ hāl-e-but-o-but-gar ḳharāb
jaan hī jaatī hai guftār-e-shakar-ālūd par
bul-havas se niyyat-e-āshiq hai kuchh baḌh kar ḳharāb
shab-e-adū ke saath din ko mujh se chhupte phirte ho
al-ġharaz phirte ho yuuñ hī rāt-bhar din-bhar ḳharāb
dil ḳharābāt-e-muġhāñ se ham uThā sakte nahīñ
ho ga.e is ḳhāk-dāñ meñ chaar din rah kar ḳharāb
phoḌnā sar kā hī aa Thahrā to lākhoñ sañg haiñ
kījiye kyuuñ āstān-e-yār kā patthar ḳharāb
jo muqābil meñ balā aa.e vo maujūd us meñ hai
dil huā apnā safā se ā.īna ban kar ḳharāb
ik sanam ke haath bik jaatā na phirtā dar-ba-dar
but-faroshī se huā hai kis qadar aazar ḳharāb
lutf-e-sāqī aam thā par vā-e-baḳht andalīb
jām-e-gil bekār niklā sāġhar-e-ab.har ḳharāb
mere dil meñ ek dam aate nahīñ misl-e-murād
ho ga.e aġhyār kī āñkhoñ meñ tum rah kar ḳharāb
tum kisī va.ada se phir jaao ki ho jā.ūñ tamām
ho agar phirne meñ mere halq par ḳhanjar ḳharāb
munharif ham dekhte haiñ kuchh nigāh-e-tez tez
kis rag-e-jāñ se huā hai ye sar-e-nashtar ḳharāb
ārzū-e-qatl bar aa.ī to kyā bar aa.ī ḳhaak
kuchh yahāñ qismat burī kuchh vahāñ dam-e-ḳhanjar ḳharāb
yuuñ ḳharābāt-e-muġhāñ bhī hai ḳharāb-e-rozgār
lekin us se bhī hai kuchh terā dil-e-'anvar' ḳharāb
Top Urdushayar.com