Anwar Dehlvi

yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
yūsuf-e-husn kā husn aap ḳharīdār rahā
pahle bazār-e-azal misr kā bāzār rahā
bismil-e-nāz rahā Kushta-e-raftār rahā
zindagī bhar mujhe marne se sarokār rahā
jurm-e-nā-karda uqūbat kā sazā-vār rahā
shaiḳh sarshār-e-siyah mastī-e-pindār rahā
parda-e-chashm jo pās-e-adab-e-yār rahā
maiñ rahā sāmne tū bhī pas-e-dīvār rahā
dil ye shādī-e-jarāhat se huā bālīda
ki tirā tiir yahāñ tā-lab-e-sūfār rahā
gir ke nazroñ se tirī phir na zamīñ se uTThā
maiñ subuk bhī jo huā tū bhī girāñ-bār rahā
aaj hī aaj hai fardā-e-qayāmat maujūd
do ghaḌī aur jo hañgāma-e-raftār rahā
tuur tū barq-e-tajallī se huā ḳhākistar
aur maiñ soḳhta-e-hasrat-e-dīdār rahā
rahm us sāda-dilī par ki mirā zaḳhm-e-jigar
ġhair se chāra-o-darmāñ kā talabgār rahā
maiñ vo ik mujrim-e-ta.azīr talab huuñ ki sadā
badle dushman ke uqūbat kā sazā-vār rahā
bas-ki dil meñ rahī ik kashmakash yās-o-ummīd
dard jo dil meñ rahā jaan se bezār rahā
ab vo fardā bhī nahīñ roz kī taskīñ ke liye
ab faqat hashr hī par va.ada-e-dīdār rahā
pī bhī jā shaiḳh ki saaqī kī ināyat hai sharāb
maiñ tire badle qayāmat meñ gunahgār rahā
ḳhush huuñ chup rahne se un ke dam-e-paiġhām-e-visāl
ki ye inkār to kuchh shāmil-e-iqrār rahā
sar pe phirtā hī rahā aur na girā mujh pe kabhī
āsmāñ ban ke tirā sāya-e-dīvār rahā
garche kyā kuchh the magar aap ko kuchh bhī na ginā
ishq-e-barham zan-e-kāshāna-e-pindār rahā
tum ne yuuñ ghar meñ to kyā kuchh na uThā.e fitne
ik qayāmat kā uThānā sar-e-bāzār rahā
haa.e vo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-adā
vaa.e vo dil ki tirā mahram-e-asrār rahā
maiñ rahā bhī to rahā ḳhaar kī sūrat ki sadā
terī nazroñ meñ subuk-dil pe tire yaar rahā
chashm par nashsha-e-sāqī jo rahī aks-fagan
chuur mastī se har ik sāġhar-e-sarshār rahā
huuñ meñ vo jins ki huuñ raunaq-e-bāzār-e-kasād
huuñ vo saudā ki ḳharīdār bhī bezār rahā
kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā
ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā
thak ke baiThe ho dar-e-sauma.a par kyā 'anvar'
do-qadam aur ki ye ḳhāna-e-ḳhummār rahā
Top Urdushayar.com