āshiq hue to ishq meñ hoshyār kyuuñ na the
ham in ke madah-ḳhvāñ sar-e-bāzār kyuuñ na the
haañ jab sitam ko ain karam kah rahe the log
ham bhī sharīk-e-garmī-e-guftār kyuuñ na the
jab chal rahā thā vaqt pe jaadū nigāh kā
ik ham asīr-e-chashm-e-fusūñ-kār kyuuñ na the
ab kyā shahīd-e-nāz bane phir rahe haiñ log
marne kā shauq thā to sardār kyuuñ na the
'vāris' ye shā.irī sam-e-qātil se kam nahīñ
aap is balā-e-jāñ se ḳhabar-dār kyuuñ na the