un se ham lau lagā.e baiThe haiñ
aag dil meñ dabā.e baiThe haiñ
vo jo gardan jhukā.e baiThe haiñ
hashr kyā kyā uThā.e baiThe haiñ
tere kūche ke baiThne vaale
apnī hastī miTā.e baiThe haiñ
zor bal uf-re is nazākat par
ḳhalq kā dil dukhā.e baiThe haiñ
kyuuñ uThīñ un kī bazm se aġhyār
rañg apnā jamā.e baiThe haiñ
kuchh nahīñ ḳhāk-e-dasht-e-ulfat meñ
ham bahut ḳhaak uḌaa.e baiThe haiñ
ham nahīñ aap meñ ḳhushī se ki vo
ghar meñ mehmān aa.e baiThe haiñ
kyuuñ na phailā.eñ paaoñ bazm meñ ġhair
aap ke sar chaḌhā.e baiThe haiñ
jañg-jū vo milāp meñ bhī rahe
mujh se āñkheñ laḌā.e baiThe haiñ
dil ke khoTe haiñ sab ye sīm-andām
ḳhuub ham āzmā.e baiThe haiñ
husn-e-nazara-soz hai parda
go vo parda uThā.e baiThe haiñ
us kī aariz se rū-kashī kaisī
gul pe ham ḳhaar khaa.e baiThe haiñ
jiite haiñ naam ko vagarna ham
ishq meñ jī khapā.e baiThe haiñ
haar dekhā bhī ḳhūn-e-āshiq kā
aap aur sar jhukā.e baiThe haiñ
kyuuñ ki bigḌā huā unheñ kahiye
bigḌe aur muñh banā.e baiThe haiñ
jī churānā aur us pe haa.e sitam
aap āñkheñ churā.e baiThe haiñ
sharm bhī ik tarah kī chorī hai
vo badan ko churā.e baiThe haiñ
jo ki baiThe haiñ un kī pesh-e-nigāh
maut aane kī jaa.e baiThe haiñ
dekh saaqī ko apne dariyā-dil
zarf-e-mai-kash baḌhā.e baiThe haiñ
us ke dar se lagā ke maqtal tak
jaañ fidā jaa.e jaa.e baiThe haiñ
ġhair bātoñ se aur ham āñkhoñ se
ek tūfāñ uThā.e baiThe haiñ
hai ye raushan ki hai hijāb meñ chāñd
aap kyā muñh chhupā.e baiThe haiñ
is ḳhushī meñ hinā lagāte haiñ
ki mirā ḳhuuñ bahā.e baiThe haiñ
jāntā huuñ ki qatl par mere
aap beḌā uThā.e baiThe haiñ
mere dil soz ban ke yaar mire
muft jī ko jalā.e baiThe haiñ
kyā sikhā.egā un ko zulm-e-falak
ḳhud vo sīkhe-sikhā.e baiThe haiñ
hai jahāñ is se faizyāb 'anvar'
jis ke dar par ham aa.e baiThe haiñ