Varis Kirmani

lakh nadan hain magar itni saza bhi na mile

Varis Kirmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-2012
laakh nādāñ haiñ magar itnī sazā bhī na mile
chārasāzoñ ko mirī shām-e-balā bhī na mile
hasrat-āgīñ to hai nākāmī-e-manzil lekin
lutf to jab hai ki ḳhud apnā patā bhī na mile
kuchh nigāhoñ se ġham-e-dil kī ḳhabar miltī hai
varna ham vo haiñ ki bātoñ se havā bhī na mile
ḳhvāhish-e-dād-rasī kyā ho sitam-gar se jahāñ
aañkh meñ shā.iba-e-uzr-e-jafā bhī na mile
is qadar qaht-e-basīrat bhī nahīñ ai vaa.iz
ham butoñ ke liye nikleñ to ḳhudā bhī na mile
ishq vo arsa-e-pur-ḳhār hai hamdam ki jahāñ
zindagī raas na aa.e to qazā bhī na mile
kyā qayāmat hai tabī.at kī ravānī 'vāris'
koī DhūñDhe to nishān-e-kaf-e-pā bhī na mile
Top Urdushayar.com