Naseer Parwaz

hasin dimagh mile jagta shuur mile

Naseer Parwaz

Sagar, Madhya Pradesh, India

1940
hasīñ dimāġh mile jāgtā shu.ūr mile
ḳhudā kare ki tujhe rāste meñ nuur mile
bahut hai sāya-e-bedār ḳhalvat-e-ġham kā
ki ḳhalvatoñ ke amiiñ be-ḳhudī meñ chuur mile
yahī jatan hai ki taqdīr sar-nigūñ na rahe
use bhī is nigah-e-nāz kā ġhurūr mile
hasīn-tar ho zamāna jamīl-tar ho hayāt
agar lagan na lage ḳhaak phir surūr mile
unheñ nigāh kī āġhosh meñ basāyā thā
khulī nigāh to vo zindagī se duur mile
vo jin ko tere taġhāful ne kar diyā mujrim
mirī nazar ko vahī log be-qusūr mile
maiñ ḳhud hī dard se dāman bachā ke guzrā huuñ
vagarna ziist ko parvāz-e-ġham zarūr mile
Top Urdushayar.com