ai sabā nik.hat-e-gesū-e-muambar laanā
koī tohfa gul-o-nasrīn se ḳhush-tar laanā
shabnamistān-e-mohabbat kī hasīñ rāhoñ se
ḳhunkī-e-shabnam-o-nūr-e-mah-o-aḳhtar laanā
jāñ-ba-lab haiñ tire mushtāq sar-e-rāh-e-hayāt
dam-e-īsā-o-mai-e-lāl-o-gul-e-tar laanā
ishq ho mast-o-ġhazal-ḳhvān-o-surāhī-bar-dosh
zindagī tāza-o-sarshār-o-muattar laanā
dar-ḳhur-e-mahfil-o-shāyan-e-ḳharābāt-e-muġhāñ
ātishīñ mutrib-o-be-bāk navā-gar laanā
tujh ko andoh-e-asīrān-e-qafas kī saugand
ārzūoñ ke hasīñ phuul khilā kar laanā
kushtagān-e-sitam-e-daur-e-ḳhizāñ haiñ ham log
apne hamrāh bahāroñ kā payambar laanā
is na.e daur ke sheroñ meñ taġhazzul kam hai
merī uftād tabī.at kā suḳhnavar laanā