ye qadam qadam kashākash dil be-qarār kyā hai
jo yaqīñ na ho amal par to nashāt-e-kār kyā hai
ba-ḳhudā nasīm-e-gulshan tirī vahshatoñ ke sadqe
ye mizāj-e-nāma-bar hai to mizāj-e-yār kyā hai
vo karam na ho sitam ho koī baat kam se kam ho
ye adā-e-be-niyāzī mire ġham-gusār kyā hai
ye ham ahl-e-ġham kī manzil hai dabe qadam guzar jā
ki ajal yahāñ ke fitnoñ meñ tirā shumār kyā hai
abhī aa ke naġhma-e-dil kī bahār dekh jaao
maiñ navā-e-ḳhud-shikan huuñ mirā e'tibār kyā hai