bahut dinoñ meñ ham un se jo ham-kalām hue
dil-o-nazar hama-tan sajda-o-salām hue
hanūz jaise masīhā kī aamad aamad hai
agarche umr huī zindagī tamām hue
shafaq sī ḳhema-e-jānāñ kī samt baaqī hai
tamām vādī-o-kohsār ġharq-e-shām hue
ka.ī gile the jo shor-e-jahāñ meñ Duub ga.e
ka.ī sitam the jo ehsān ban ke aam hue
kisī taraf jinheñ rāh-e-gunāh mil na sakī
kuchh aise log bhī duniyā meñ nek-nām hue
ufuq ke paar kahīñ se lahū uchhaltā hai
zamīñ se duur bhī kyā kyā na qatl-e-ām hue
chale the un se musībat meñ ham gila karne
kuchh aur morid-e-taz.hīk-e-ḳhās-o-ām hue
rah-e-talab meñ na.e regzār tak pahuñche
vo tishna-kām jo sahrā meñ tez gaam hue