Najma Shaheen Khosa

ishq ko aankh mein jalte dekha

Najma Shaheen Khosa

ishq ko aañkh meñ jalte dekhā
phuul ko aag meñ khilte dekhā
ishq ke raaz na pūchho sāhab
ishq ko daar pe chaḌhte dekhā
ishq ke daam bhī lag jaate haiñ
misr meñ us ko bikte dekhā
ishq hai vājib us ko ham ne
jism aur jaañ meñ utarte dekhā
us ko havas kā naam na denā
lauh pe us ko likhte dekhā
arsh bhī hairat se taktā thā
dasht meñ us ko palte dekhā
ishq anokhā manzar jis meñ
raaz ko ḳhvāb meñ Dhalte dekhā
hijr kā zaḳhm to zaḳhm hai aisā
baḳhiya-garoñ se bhī khulte dekhā
ishq vo baaġh hai jis ko ham ne
hijr kī rut meñ mahakte dekhā
ġham kyā hijr aur visāl kā us ko
ishq meñ jis ko bhaTakte dekhā
Top Urdushayar.com