Najma Shaheen Khosa

mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai

Najma Shaheen Khosa

mujhe jab bhī vo galiyāñ aur vo rasta yaad aatā hai
koī dhuñdlā sā manzar hai jo ujlā yaad aatā hai
fazā-e-dil pe taarī hai bahut hī habs kā mausam
tirī qurbat kī ḳhushbū kā vo jhoñkā yaad aatā hai
kahā tum to judā.ī kā vo manzar bhuul baiThe ho
ḳhalā meñ dekh kar mujh se vo bolā yaad aatā hai
ḳhizāñ-rut hai magar mujh ko ḳhayāloñ ke tasalsul meñ
mohabbat ke gulāboñ kā vo sapnā yaad aatā hai
kisī ke dukh bhare lamhe meñ jab koī bilaktā hai
haqīqat meñ use har zaḳhm apnā yaad aatā hai
musalsal ret par chalnā vafā kī riit Thahrī hai
tirī dahlīz tak phailā vo sahrā yaad aatā hai
vo lamha jo guzarte mausamoñ meñ saath Thahrā hai
mujhe ḳhud bhī nahīñ ma.alūm kitnā yaad aatā hai
kabhī jab hijr kī aahaT se dil āñgan meñ aatī hai
bahut apnā.iyat se bas vo apnā yaad aatā hai
tirā hī aks utrā hai mirī nazmoñ meñ ġhazloñ meñ
vo lahja terī chāhat kā vo chehra yaad aatā hai
hamārā naam likhā thā kabhī jo ret par us ne
kabhī jab yaad aa.e to vo dariyā yaad aatā hai
mire āñgan meñ jab bhī shaam ke saa.e utarte haiñ
mujhe 'shāhīñ' mohabbat kā hī saaya yaad aatā hai
Top Urdushayar.com