ai ishq is qafas se mujhe ab rihā.ī de
dekhūñ jidhar mujhe tirā jalva dikhā.ī de
shahar-e-shab-e-firāq ke gahre sukūt meñ
apnī sadā mujhe bhī kabhī to sunā.ī de
yād-e-habīb mujh ko bhī ab mujh se kar judā
mujh ko hujūm-e-dard meñ merī ikaa.ī de
kab se maiñ ḳhāmushī ke nagar meñ muqīm huuñ
lekin ye kaun hai jo yahāñ bhī sunā.ī de
zulmat-zadoñ ko jāda-o-manzil kī kyā ḳhabar
tārīk rāstoñ meñ bhalā kyā sujhā.ī de
qatre meñ maujzan hai samundar hī har jagah
ab vo mujhe farāz-e-ufuq tak rasā.ī de
maqtal meñ kaise chhoḌ ke rāheñ badal gayā
yārab kisī sanam ko na aisī ḳhudā.ī de