patjhaḌ meñ ḳhizāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
maiñ zard fazāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
bharne haiñ ka.ī rañg mujhe apne diye meñ
kyuuñ tez havāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
niklī huuñ kisī dhun meñ kisī yaad ko le kar
aur ujḌī adāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
maiñ ḳhāk-nashīñ aaj bhī taktī huuñ falak ko
muddat se ḳhalāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
jīvan mujhe munsif ne atā kī haiñ sazā.eñ
maiñ aaj sazāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
tujh se mile bichhḌe hue lamhoñ kī qasam hai
gum-gashta sadāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ
'shāhīn' abhī tak ye mire haath haiñ ḳhālī
be-mehr duāoñ meñ tujhe DhūñD rahī huuñ