dard musāfir Thahar gayā thā akhiyoñ kī hairānī meñ
sirf mohabbat bahtī thī aur saath ye ashk ravānī meñ
kaise huā aur kab ye huā kuchh ḳhabar nahīñ thī dil ko to
ek mohabbat jā soī thī vahshat meñ vīrānī meñ
dard kī shiddat aur baḌhī thī shahr-e-vafā kī shāmoñ meñ
aur vīrānī baiTh ga.ī thī in akhiyoñ ke paanī meñ
is hastī ke añdhiyāroñ ne baḳht ko aise gherā thā
apnī sadā tak ujaḌ ga.ī thī dil kī nauha-ḳhvānī meñ
ek suḳhnavar ke lafzoñ ne mujh ko yuuñ barbād kiyā
lutf samā.at ko miltā hai ab to zahr-afshānī meñ
us ne anjānī sī bāteñ kiiñ to phir ye ilm huā
ham to daanā samajh rahe the ḳhud ko baḌī nādānī meñ