Najma Shaheen Khosa

na gul mein na ab gulsitan hi mein DhunDo

Najma Shaheen Khosa

na gul meñ na ab gulsitāñ hī meñ DhūñDo
mohabbat ko bas āstāñ hī meñ DhūñDo
nishānī mohabbat kī tum ko milegī
kisī ek dhuñdle nishāñ hī meñ DhūñDo
pata shahr-e-dil kī bahāroñ kā ab tum
kahīñ bām-o-dar kī ḳhizāñ hī meñ DhūñDo
agar DhūñDhnā hai vajūd apnā tum ko
kisī dil ke ujḌe makāñ hī meñ DhūñDo
milegī añdhere meñ ujlī kiran bhī
use soch kī kahkashāñ hī meñ DhūñDo
vafā kī kahānī meñ DhūñDo mujhe tum
kabhī hijr kī dāstāñ hī meñ DhūñDo
ho jis par yaqīñ tum ko 'shāhīñ' azal se
use apne vahm-o-gumāñ hī meñ DhūñDo
Top Urdushayar.com