Najma Shaheen Khosa

ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun

Najma Shaheen Khosa

ye jo kaam rah ga.e haiñ unheñ rakh ke jā rahī huuñ
mirī zindagī maiñ tujh se bahut thak ke jā rahī huuñ
yahī dard ke basere yahī hijr ke añdhere
ye jo siskiyāñ haiñ saarī maiñ thapak ke jā rahī huuñ
faqat ek saañs mohlat magar imtihān itne
ye jo talḳhiyāñ thiiñ terī unheñ chakh ke jā rahī huuñ
mirī pyaas kā muqaddar to ye tishnagī hī Thahrī
ġham-e-ishq kī thī chhāgal maiñ chhalak ke jā rahī huuñ
jahāñ us ne muḌ ke dekhā vahīñ zindagī rukī thī
ye jo hairateñ haiñ dil kī maiñ jhaTak ke jā rahī huuñ
tirī ḳhushbuoñ se mahkeñ mire ḳhvāb ke jazīre
yahī aarzū thī lekin maiñ thapak ke jā rahī huuñ
tire lams se shanāsā nahīñ uñgliyāñ ye merī
tire hijr kī zamīñ par maiñ sisak ke jā rahī huuñ
mirī zindagī tū kah de kabhī jā ke chāragar se
ki ye ḳhvāb kā hai madfan maiñ bilak ke jā rahī huuñ
kisī aag meñ jalī tū kisī shaam meñ Dhalī maiñ
nahīñ ruuh to badan meñ so ThiThak ke jā rahī huuñ
Top Urdushayar.com