har ek ḳhvāb meñ harf-o-bayāñ meñ rahtā hai
vo ek shaḳhs jo dil ke makāñ meñ rahtā hai
na dil nikaltā hai us kā na shaam hotī hai
ab is tarah se bhī koī jahāñ meñ rahtā hai
yaqīn hai ki vo mujh par yaqīn rakhtā hai
gumān hai to vo ab tak gumāñ meñ rahtā hai
maiñ is tarah se huuñ āzād apnī duniyā meñ
ki jaise koī parind āshiyāñ meñ rahtā hai
rakhā huā hai hifāzat ke saath use dil meñ
maiñ be-amān huuñ vo to amaañ meñ rahtā hai