Varis Kirmani

qaza jo de to ilahi zara badal ke mujhe

Varis Kirmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-2012
qazā jo de to ilāhī zarā badal ke mujhe
mile ye jaam inhī añkhḌiyoñ meñ Dhal ke mujhe
maiñ apne dil ke samundar se tishna-kām aayā
pukārtī rahīñ maujeñ uchhal uchhal ke mujhe
nigāh jis ke liye be-qarār rahtī thī
sazā milī hai usī raushnī se jal ke mujhe
maiñ rahzanoñ ko kahīñ aur dekhtā hī rahā
kisī ne luuT liyā paas se nikal ke mujhe
kahāñ nujūm kahāñ rāste kī gard-e-haqīr
ajiib vahm huā tere saath chal ke mujhe
ab ek sāya-e-be-ḳhānumāñ bhī saath meñ hai
ye kyā milā hai tire shahr se nikal ke mujhe
vahī haqīqat-e-umr-e-darāz ban ke rahe
kisī ne ḳhvāb diye the jo chand pal ke mujhe
koī bhī jab hadaf-e-ḳhanjar-e-adā na milā
vo dasht-e-ġham se uThā le ga.e machal ke mujhe
Top Urdushayar.com