Najma Shaheen Khosa

zaKHmon se kahan lafzon se mari gai hun main

Najma Shaheen Khosa

zaḳhmoñ se kahāñ lafzoñ se maarī ga.ī huuñ maiñ
jīvan ke chaak se yuuñ utārī ga.ī huuñ maiñ
mujh ko mire vajūd meñ bas tū hī tū milā
aise tirī mahak se sañvārī ga.ī huuñ maiñ
afsos mujh ko us ne utārā hai gor meñ
jis ke liye falak se utārī ga.ī huuñ maiñ
mujh ko kiyā hai ḳhaak to phir ḳhaak bhī uḌā
ai ishq terī raah meñ vaarī ga.ī huuñ maiñ
lo aa ga.ī huuñ hijr meñ marne ke vāste
itne ḳhulūs se jo pukārī ga.ī huuñ maiñ
merī sadāqatoñ pe tumheñ kyuuñ nahīñ yaqīn
sau baar aag se bhī guzārī ga.ī huuñ maiñ
tum jānte nahīñ ho aziyyat ke kaif ko
hijrat ke karb se to guzārī ga.ī huuñ maiñ
maiñ miT chukī huuñ aur numāyāñ huā hai tū
murshid ḳhumār meñ yuuñ ḳhumārī ga.ī huuñ maiñ
is vajd meñ vajūd kahāñ hai mirā vajūd
jaane kahāñ pe saarī kī saarī ga.ī huuñ maiñ
maqtal meñ jaan denā thī pyāroñ ke vāste
maiñ hī thī un ko jaan se pyārī ga.ī huuñ maiñ
ye qarz-e-ishq maiñ ne chukānā thā is liye
'shāhīn' apnī jaan se vaarī ga.ī huuñ maiñ
Top Urdushayar.com