ġham ke sunsān bayābāñ se nikaltā hī nahīñ
dil mirā dard ke tūfāñ se sambhaltā hī nahīñ
ishq kī ātish-e-ḳhāmosh hai kab se raushan
magar ehsās kā sho.ala hai ki jaltā hī nahīñ
har taraf dhuñd hai ashkoñ kī farāvānī se
dil-e-betāb sarāboñ se bahaltā hī nahīñ
talḳhiyāñ ahl-e-zamāna se vo jhelī haiñ na pūchh
dil mirā fasl-e-bahārāñ meñ machaltā hī nahīñ
kab se hālāt-e-zamāna haiñ digar-gūñ lekin
dil kā mausam kisī hālat meñ badaltā hī nahīñ
kyā kahūñ darpai-e-āzār hai duniyā 'shāhīn'
aadmī qaid-e-zamāna se nikaltā hī nahīñ