mirā dil is liye dhaḌkā nahīñ hai
palaT kar us ne jo dekhā nahīñ hai
ilāhī maiñ kahāñ par aa ga.ī huuñ
ujālā bhī jahāñ ujlā nahīñ hai
ye aañsū bhī musāfir haiñ jabhī to
unheñ maiñ ne kabhī rokā nahīñ hai
vahī ik ḳhvāb hotā hai asāsa
hamāre paas jo hotā nahīñ hai
to kyā ab zulm had se baḌh gayā hai
jo koī ab talak royā nahīñ hai
palaTnā bhī nahīñ 'shāhīn' maiñ ne
aur aage bhī koī rasta nahīñ hai