Najma Shaheen Khosa

jo kho chuke hain wo manzar talash karti hun

Najma Shaheen Khosa

jo kho chuke haiñ vo manzar talāsh kartī huuñ
bikhar ga.e haiñ jo paikar talāsh kartī huuñ
kabhī talāsh jo karnā ho apnā aap mujhe
to us kī zaat ke andar talāsh kartī huuñ
bichhaḌ ga.ī huuñ maiñ us se magar nahīñ bichhḌī
jo band us ne kiye dar talāsh kartī huuñ
kabhī jo had se guzar jaa.e dukh to hañstī huuñ
ḳhushī nahīñ jo mayassar talāsh kartī huuñ
qarīb rah ke bhī kartī rahī thī qurb talāsh
maiñ chāhatoñ ke hī zevar talāsh kartī huuñ
ye aarzū hai sanam ko qarīb-tar dekhūñ
so regzār meñ patthar talāsh kartī huuñ
karūñgī us kā tavāf umr bhar maiñ bas 'shāhīñ'
ab apnā markaz-o-mehvar talāsh kartī huuñ
Top Urdushayar.com