Najma Shaheen Khosa

manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain

Najma Shaheen Khosa

manzar tamām aaj tak āñkhoñ pe bojh haiñ
jitne bhī ḳhvāb haiñ mirī palkoñ pe bojh haiñ
utregā chāñd to mirī bhar aa.egī ye aañkh
taare falak se TuuT kar rātoñ pe bojh haiñ
sochoñ pe naqsh haiñ vo jo pal the visāl ke
dukh hijr ke tamām hī lamhoñ pe bojh haiñ
bāteñ us ek yaad kī bātoñ kā husn haiñ
yādeñ us ek yaad kī yādoñ pe bojh haiñ
'najma' kahīñ bhī jhuuT kā jin par gumān ho
aise tamām lafz hī sheroñ pe bojh haiñ
Top Urdushayar.com