Najma Shaheen Khosa

KHushiyon ka rasta go baDa muKHtasar raha hai

Najma Shaheen Khosa

ḳhushiyoñ kā rāsta go baḌā muḳhtasar rahā hai
lekin ye dukh sadā se mirā ham-safar rahā hai
us kī adā pe shāyad rone lage falak bhī
va.adoñ se apne kaise ab vo mukar rahā hai
kaisī bahār hai ye kaisā hai vasl-e-mausam
Tahnī se TuuT kar jo rah meñ bikhar rahā hai
vo jā chukā hai to phir us se gila bhī kyūñkar
kab saath is jahāñ koī umr bhar rahā hai
ḳhushbū kī aur ḳhushī kī ummīd kyā kareñ ab
jab āñdhiyoñ kī zad meñ dil kā nagar rahā hai
dil khol kar haiñ barsīñ phir se hamārī āñkheñ
'shāhīn' hijr-e-mausam phir se nikhar rahā hai
Top Urdushayar.com