mohabbatoñ kā sila nahīñ hai
laboñ pe harf-e-duā nahīñ hai
nahīñ vo tasvīr paas mere
so haath merā jalā nahīñ hai
maiñ apnī lau meñ hī jal rahī huuñ
jo bujh gayā vo diyā nahīñ hai
bas ik piyālī hai mez par aur
vo muntazir ab mirā nahīñ hai
likhā janam-din pe us ko maiñ ne
vo ḳhat bhī us ko milā nahīñ hai
maiñ kis liye paar jā.ūñ 'shāhīn'
vahāñ mirā nā-ḳhudā nahīñ hai