Varis Kirmani

khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana

Varis Kirmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-2012
kho.e hue sahrā tak ai bād-e-sabā jaanā
vo ḳhāk-e-junūñ merī ā.ankhoñ se lagā jaanā
ab tak koī chiñgārī rah rah ke chamaktī hai
ai qāfila-e-fardā ye raakh uḌā jaanā
hai dasht-e-tamannā meñ ab shaam kā sannāTā
haañ tez qadam rakhte ai ahl-e-vafā jaanā
ham niiñd kī chādar meñ lipTe hue chalte haiñ
is bhes meñ ab ham se milnā ho to aa jaanā
āfāq kī sarhad par saa.e se gurezāñ haiñ
in soḳhta-jānoñ ko us paar na thā jaanā
tum duur safar kar ke nazdīk se lagte ho
ab paas bahut aa ke ham ko na jagā jaanā
kyā us se shikāyat ho jis shoḳh kī aadat ho
kuchh baat dabā lenā kuchh aañkh churā jaanā
ham zikr-e-gul-o-bulbul karte hue Darte haiñ
ab siikh gayā hai vo har baat kā pā jaanā
Top Urdushayar.com