Najma Shaheen Khosa

uski talab mein rah ko takti hai zindagi

Najma Shaheen Khosa

us kī talab meñ raah ko taktī hai zindagī
āñkhoñ meñ vaqt-e-shām chamaktī hai zindagī
tere liye jab aañkh barastī hai raat ko
phir dil ke saath saath sulagtī hai zindagī
dukh se niDhāl ho ke jo rotī haiñ beTiyāñ
phir un ke dekh dekh ke hañstī hai zindagī
jo ik ḳhayāl bā.is-e-āzār hai bahut
us ik ḳhayāl se hī chahaktī hai zindagī
kis se kareñ ye baat ki jo haal haiñ yahāñ
ḳhāmosh agar hue to bilaktī hai zindagī
rastoñ ko soch soch pareshān haiñ sabhī
manzil ko khoj khoj sisaktī hai zindagī
chāhat ke jo bhī zaḳhm haiñ rakhiye sambhāl kar
in kī hī baas se to mahaktī hai zindagī
us ne diyā thā ek diyā raah ke liye
kab tak jalegā aaj to thaktī hai zindagī
Top Urdushayar.com