Najma Shaheen Khosa

zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi

Najma Shaheen Khosa

zahmat kabhī kabhī to mashaqqat kabhī kabhī
lagtī hai zindagī bhī musībat kabhī kabhī
pahlū meñ jāgtī hai mohabbat kabhī kabhī
aatī hai haath dard kī daulat kabhī kabhī
ab tak tire baġhair maiñ zinda huuñ kis tarah
hotī hai apne aap par hairat kabhī kabhī
ik pal kā jo visāl thā un māh-o-sāl meñ
detā hai hijr meñ bhī rifāqat kabhī kabhī
chheḌe vafā kā giit koī naġhma-sāz jab
ḳhud se bhī hone lagtī hai vahshat kabhī kabhī
ik raat hijr kī hai musalsal hamāre saath
tum par guzartī hogī qayāmat kabhī kabhī
sulgī hai terī yaad meñ ye ruuh raat din
dene lagī hai lau ye rifāqat kabhī kabhī
duniyā ke vāste jo bahut be-shu.ūr thā
us se milī hai ishq ko vaq.at kabhī kabhī
mujh ko tirī jafā kā to shikva nahīñ magar
aatī hai yuuñ hī lab pe shikāyat kabhī kabhī
maiñ dard se najāt kī tālib nahīñ magar
'shāhīn' kam ho thoḌī sī shiddat kabhī kabhī
Top Urdushayar.com