Najma Shaheen Khosa

kahin pe gard kahin par hawa banati hun

Najma Shaheen Khosa

kahīñ pe gard kahīñ par havā banātī huuñ
maiñ ḳhud ko ab to bas apne sivā banātī huuñ
kahīñ pe taare kahīñ par haiñ aas ke jugnū
ḳhizāñ meñ bhī maiñ guloñ kī fazā banātī huuñ
bikhar ga.e the kisī naam ke hurūf kahīñ
ab un ko joḌ kar ik aa.ina banātī huuñ
ye tai hai us ko agar lauT kar nahīñ aanā
to kis liye maiñ duā ko asā banātī huuñ
ujāltā hai ye tārīkiyāñ mire dil kī
tumhārī yaad ko har pal diyā banātī huuñ
jab apne ashk chhupātī huuñ muskurāhaT se
to apne dard ko apnī davā banātī huuñ
tarāsh kar kisī patthar ke ek paikar ko
kamāl-e-ishq se us ko ḳhudā banātī huuñ
ki ḳhvāb meñ rahe tā-der guftugū tujh se
zarā sī baat ko maiñ vāqi.a banātī huuñ
sunā thā maiñ ne jo 'shāhīn' ek lamhe ko
is ek lamhe ko apnī sadā banātī huuñ
Top Urdushayar.com