har ghaḌī dard kī shiddat se bilaktī āñkheñ
ātish-e-hijr se har lamha pighaltī āñkheñ
ek lamhe kī mulāqāt huī umr kā rog
us kī sūrat ko haiñ har vaqt tarastī āñkheñ
dil-e-betāb meñ ab tak vo machaltī ḳhvāhish
terī ḳhushbū se musalsal ye mahaktī āñkheñ
ḳhvāb meñ Thahrā huā jhiil kā niilā manzar
aur usī jhiil kināre haiñ bhaTaktī āñkheñ
ab to vahshat sī Tapaktī hai har ik manzar se
soz-e-hijrāñ kī tapish se haiñ sulagtī āñkheñ
ishq nīlām huā aam yā nākām huā
rah ga.iiñ ahl-e-vafā kī to barastī āñkheñ
sāmne pā ke use dūsrī jānib taknā
ye haqīqat meñ haiñ 'shāhīn' sambhaltī āñkheñ