Najma Shaheen Khosa

kaise ajib dukh the dil mein chhupa ke lae

Najma Shaheen Khosa

kaise ajiib dukh the dil meñ chhupā ke laa.e
gard-e-safar thī rah meñ bas ham uThā ke laa.e
har rah-guzar pe us ko rakhnā thā yaad so ham
anjān rāstoñ meñ ḳhud ko bhulā ke aa.e
jīvan kī dhuup meñ yuuñ tanhā safar thā apnā
sukh sab ko baañT Daale bas dukh uThā ke laa.e
apne the yā parā.e lahjoñ meñ bas chubhan thī
muskān apne lab par phir bhī sajā ke laa.e
paḌhtā nahīñ hai koī phir bhī likhā hai ham ne
suntā nahīñ hai koī lekin sunā ke aa.e
is vāste to shah haiñ mirī ruuh jal rahī hai
jīvan kī aag meñ ham ḳhud ko jalā ke aa.e
Top Urdushayar.com